Internet se aaj kal bahut se work aap easily apne ghar se hi kar sakte hai. Agar aapko kahi par jana ho aur aapko pata bhi na ho ki kaise jana hai kitni distance hai. To aap Google map ke jariye bahut hi easily se uss place ka pata laga sakte hai.
Google map google ki hi ek product hai. Jispar aap kahi ka bhi location track kar sakte ho. Ispar aapko karna ye padhega ki aap Google map application ko open kare. Aur aapko jaha jana hai uss place ka name enter kare. Aapko uss location ki puri information mill jayegi. Jaise kaha se jana hai aur kaise jana hai. Aur uski aapki area se distance kya hai.
Offline Google Map Kaise Use Kare
Aapne abhi tak google map ko chalane ke liye internet ko use kiya hoga. But agar aapko internet Save karna hai. To aap ise offline bhi use kar sakte ho. Yani without net bhi aap kisi place ki location ko achi taraha track kar sakte hai.
India par internet slow, speed to hoti raheti hai. Jisse agar aapke pass net na ho to aap is tricks ko use karke asani se uss location ko offline bhi track kar sakte ho.
Ya fir malno aapko kahi par jana hai aur aapko uss location ke bare me achi jankari na ho. To aap is tricks ko use karke bahut hi easily uss location ko apne mobile par offline dekh sakte ho.
To chaliye ab jante hai ki kaise offline Google map ko use karte hai. Aur apne mobile par without Internet kisi location ka pata kaise lagate hai.
Sabse pehele aap apni mobile ki Google Map apps ko open kare. Aur aapko jaha jana hai uss place ki name inter kare. But ye karte samaye aapke mobile par data honi chaiye.
Jaise aap niche ki screen shot par dekh sakte ho. Ispar maine Indiranagar type kiya hai.
Ab aap apni place show hone ke baad uspar click kare. Fir aapko ek popup par kuch photos show honge aapko uss place ki fir uspar aapko Save, Share, aur Download ki option milti hai.
Aap download par click kare. Aur fir use download karle. Ab agar aapke mobile par data finished ho jaye to bhi aap easily uss place ko dekh sakte ho.
Some Related Post For You
- Google Account Gmail Par 2 Step verification Kaise On Kare
- Online Internet Se Quickly Earning Karne Ke Liye Kya Kare
- Online Jankari Share Karke Internet Se Paise Kaise Kamaye
- Internet Se Paise Kaise Kamaye
I hope ki ye jankari aapko achi aur helpful lagi. But bhir bhi agar aapke mind me koi bhi sawal ho is post ke related to aap comments box par bataye. Sath hi is post ko share karke apne doston ko bhi without Internet Google map ko use karne ke bare me bata sakte hai.
Leave a Reply