MyHindiNotes Ki First Income Report 341$: Hi Friends Aaj is post par main aapko Myhindinotes.com ki peheli kamai ke bare me bataonga. Actually Maine kabhi ye nahi socha tha ki main aapni earning share karoga. But Bahut se doston ne Muje bahut bar Fb And Gmail par mujse Myhindinotes ki income ke bare me pucha hai.
To unn sabhi ke Main yehi repley karta tha ki maine apni is site se abhi tak earning karna start nahi kiya.
But In This Month Yani August ko maine apni peheli earning Recived ki hai. And Ye Kamai Only Google Adsense ki hai. And jo maine apne Bank Account par received bhi kar li hai.
Woise To Affiliate Marketing me bhi maine Bluehost, BigRock Aur Hostgator Se 100$ earning ki hai. But wo Abhi nahi Mila. But muje puri ummid hai ki Muje ye paise jarur milenge. Because in site ke bahut se reviwe padha hai maine. So muje ummid hai ki milenge. Aur jab muje apni kamai milegi to main is site par aap sabhi ko apni Affiliate earning ke bare me jarur bataonga.
To chalieye ab aaj ke post ke bare me baat karenge. And aaj Ki post he Myhindinotes ki First income ke bare me.
MyHindiNotes Ki First Income Report 341$:
jaise ki aap sabhi jante honge ki Maine Myhindinotes ko 2015 Dec me banaya tha. Lekin Maine apne blog se earning start nahi kiya tha. Aur Abhi August me muje apni peheli kamai mili hai.
So main aapko details me batata hu ki kaise maine internet par Blog banakar Blogging Starting ki aur aaj maine apni peheli Internet ki Earning Recived ki hai.
Jaise ki maine aapko upar bataya tha ki maine apni earning share karne ke bare me nahi socha tha. But Kuch badhe Bloggers ne muje yehi bataya ki Muje apni income report jarur share karni chaiye. Jisse New Blogger ko inspiration milti hai. And I sure is post ko pura padhe ke baad aapko jarur kuch new shikne Aur janne ko milegi. Aur sath me aapko Blogging karne ki perana bhi milegi.
To aaiye starting se start karte hai. And jante hai myhindinotes ki first income ke bare me.
Main (Nirmal Ghimire) Assam me reheta hu. Aur muje blogging ke bare me 2015 ke June or July me Harsh Agarwal Sir ke shoutmeloud se pata chala. Fir Maine 6 month Blogging ke bare me study ki And After 6 Month maine apni khod ki blog banali. Aur apne site ka name rakha Myhindinotes.blogspot.com.
Isko blogspot se WordPress me bina SEO issue transfer karne me aur SEO friendly content writing karne me ek professional blogger, digital marketer and also a good friend Dilip Pokhrel Atreya ne proper guide kiya.
But uss time mere pass na to laptop tha. Aur Na mere Village par Properly internet chalta tha. But fir bhi maine Apne village Se 10 km jakar internet cafe se Blog bana liya.
But Blog banane ke baad Jab blog ko design karne ki bari aayi to Usme lekin muje 3 Month lag gaye. Because main jis net cafe par ja raha tha wo kuch din ke liye closed tha. So mere pass koi dusra option nahi tha.
Fir 3 month baad ek din muje cafe wale ne call kiya. Aur kaha ki net cafe open ho gaya. To next days se maine apni blog ki design start ki and starting me jo Blogger blog par kuch widget add or remove karna padta hai. Such as Powered by blogger ko remove karna, Email Subscribe widget add karna, Header and Footer ko design karna mere liye koi assan kaam nahi tha.
MyHindiNotes Ki First Income Report
Because muje blog ko design karne ke liye coding to nahi aati thi aur na pehele kabhi maine ye sab kiya tha. So mere liye ye bilkul Fress work tha. So main jab net cafe jata tha to woha par me 2 ya 3 hours apni site par kaam karta tha. Aur muje coding ki knowledge na hone ke karan muje Blog par ek ek widget ko add or remove karne me Header, Footer ko design karne me bahut days lag gayi.
And mere bahut paise bhi gaye. Because per day muje 10 km aana jana padta. Aur net cafe par bhi per day 20-30 Rupees dena padta tha. But muje Blog banakar blogging start karne me itni interest tha ki karib 6 Month maine Regular net cafe se hi blog banai aur Blog ko design bhi karli.
Fir ek din me cafe par apne blog me kaam kar raha tha to mera ghar samne ka ek friend (Mirdul Acharya) Mila aur usne mere site ke bare me pucha. Then usine mujse pucha ki Daily aane jane me to tera bahut time aur paise waste Hota hoga. To tu kya apne ghar se hi blogging nahi kar sakta?
To maine use kaha ki ek to mere pass latop or pc nahi hai. Aur sath me Village par net bhi achi taraha nahi chalti. To usne muje kaha ki tu mera laptop le jana. Aur ghar se hi Blogging karna. Fir evening usine Laptop ke sath kahi se ek Bsnl ka USB Modem/ Dongle bhi la kar diya. Aur fir maine apne Ghar se hi blogging start kiya. So main ye kehe sakta hu ki Mridul ki bajaha se hi aaj main apne ghar se hi Blogging kar raha hu.
Fir jab main Apne Ghar se hi blogging karne laga to maine 15 days ke andar hi apne blog ki puri design karli. Aur sath me blogging ke bare me bhi bahut study kiya. Tab muje pata chala ki Blog banane ke baad At first blogging par focus karna chaiye na ki paise kamane me. Because tab muje post likhna bhi achi taraha se nahi aati thi. Isliye Syad mere post google aur Baki search engine par show nahi ho rahe the.
Fir when maine is bare me inquiry ki to muje pata chala ki Blog post ko search engine par show karane ke liye SEO yani Search engine optimization ke bare me achi jankari honi chaiye. Nahi to blog post google par show bhi nahi hote.
Next maine seo ke bare me learn karna start kiya aur Seo related har ek chiz ki maine jankari hasil ki. Aur apne blog post par achi taraha se seo karna shikh gaya. Fir uske baad mere har ek post search engine par show hone lage.
Uske baad maine Blog ki traffic badhane me focus kiya. Because Agar blog par visitors kam honge to site ki rank and income kabhi achi nahi hogi. Then maine blog par visitors badhane ke liye sabhi social site par account banai aur apni har post ko share karne laga. Aur badhe bloggers ke blog par comment karne laga. Jisse mere site par pehele se visitors bhi increase ho gaye.
Fir uske baad maine aapne blog se earning karne ki start karne ke bare me socha. Aur maine Google adsense ke liye apply kiya. But Adsebse ne mera first review to bahut jaldi finished kiya. But aap to jante honge ki adsense ka first reviwe ho jane ke baad second reviwe karta hai. Aur aapke mail par Account activition ka ek mail karta hai.
But muje 3 month tak adsense se koi bhi replay nahi mila. But fir bhi maine Blogging karna band nahi kiya. Aur blogging karta raha. Fir maine socha ki ab main apne blog ko WordPress par shift karonga. Aur wordpress se Adsense ke liye apply karonga.
But wordpress blog ke liye hosting and them buy karna padta tha. And iske liye muje karib 6000 Rupees ki jarurat thi. Aur mere pass utne paise bhi nahi the. So maine Hostgator se hosting bhi kharidli but them kharidne ke liye mere pass paise nahi the. To maine wordpress ka hi ek Free Them Hueman apne blog par add kardiya.
Yani ab mera blog WordPress par hai. But main free them use kar raha tha. Aur tabhi mene soch liya tha ki main jab apne blog se peheli earning karonga. Tabhi main apne blog ke liye ek badiya them kharid longa.
But uss time tak bhi mera adsense account under review hi show ho raha tha. Tab muje laga ki kisi bhi company me account approve hone me 6 mahine to nahi lagte. Jarur kuch problem hai jis karan mera Adsense account na approve aur na hi disapprove howa hai. Fir maine Internet par ispar search kiya to muje pata chala ki khabhi kabhi aisa hota hai. jiske karan adsense se aapko kuch bhi replay nahi milta.
Fir maine kisi ek badhe blogger ki adsense ke related post read ki to muje pata chala ki agar kabhi aisa ho ki aap ne adsense ke liye apply kiya bahut days ho gaye. Aur aapko adsense se koi bhi replay na mile to aap kisi other Gmail ID se adsense ke liye apply kare.
Fir maine May 2017 ko apne ek dost ke gmail se Google Adesense ke liye Apply kiya to 3 days me hi mera account approve ho gaya. And uss time mere blog par karib 150 posts hogaye the. But mere site par abhi tak free them hi hai. Aur is them ka name hai Hueman Ye ek wordpress blog ke liye free them hai. Aur ye them per month update bhi hota hai.
So hueman bahut hi badiya Them hai WordPress blog ke liye. Maine yehi free them use karke apni first income 341$ ki hai. And is experience se main aapko ye baat to 100% dekar keh sakta hu ki aap free them use karke bhi apne blog se income kar sakte hai.
But main aapko ye kabhi nahi kahoga ki aap hamesa free them hi use kare apni blog par. Ha jab tak aap apne blog se earning start nahi karte tab tak aap free them use kar sakte ho.
Maine abhi apni income recived karne ke baad Themeforest Se Avada… theme buy ki hai jo ki 60$ ki hai. And ye theme Buy karne se pehele maine internet par iske bahut se reviwe read kiya to muje pata chala ki ye theme wordpress blog ke liye bahut hi badiya theme hai. Because 3 lakh se bhi jyada logo ne is them ko pasand ki hai. Is them ki speed, Seo, Support sab kuch bahut hi badiya hai. Aur ise customize karna bhi bahut hi assan hai.
Agar aap bhi Myhindinotes ke is new them ko Buy karna chahe to aap is niche ke link se aap Themforest se Avada Them Buy kar sakte ho.
Note: April 2018 me maine apni blog par Fir se theme change ki hai. And ye new theme hai studiopress ki Genesis.
Final Words:
Mere abtak ke blogging ke experience se main aapko ye to 100% gurranty dekar keh sakta hu ki Blog Or Website banana koi badi baat nahi hai. Because ise banane ke liye aapko Java, PHP Coding ki jankari na bhi ho to bhi aap Blog bana sakte ho. And Blogger Blog me ho ya WordPress blog kisi bhi plateform par paise kamane ke liye paid them hi use karna padega aisa bhi kuch bhi nahi.
Matlab agar aapke pass template buy karne ke liye paise na ho to bhi aap Free template use karke bhi apni blog se paise kama sakte ho. Aur Blogging me starting se hi paise kamane ke bare me mat soche. Aur Apni blog ki design. seo aur post par jyada dhayn de. Jisse blog ki visitors badhege aur apki income bhi increase hogi.
To friends ye tha myhindinotes ki peheli kamai ki jankari. Ab aap muje batana mat bhule ki MyHindiNotes Ki First Income Report ye jankari aapko kaisi lagi?
Sath hi is post ko aap apne doston ke sath social site par share karna mat bhule.
Ye aapki kahani kafi motivated hai bhai, ham jaise naye bloggers ko kafi kuch sikhati hai.
Thank you for such nice information
Thanks sir ki aapne apni real life story btayi.
bahut acha hai. mene apni pehli kamai exact 100 dollar ki thi. ise kamane me mujhe poora ek sal laga gaya tha.
aapka blog read karke hume bahut khushi hue. aap bahut accha kar rahey hai, aishe he karte rahey aur khub paise kamaye.
mere blog shoutingindians me abhi tak keval 88$ he bna hai.
aap bataye ki me aur traffic kaise increase kar sakra hun.
Thank You Amit Bro.. Aap apni blog ki traffic badhane ke liye is post ko follow kare. 2018 Me Blog Ki Traffic Kaise Badhaye – 12 New Tips
Kahte hai mehnat kabhi bekar nahi jati yahi soch ke mai bhi lga hua hu
Ji bhai mehnat hi sb kuch hota hai apke bare me pad ke kafi accha laga……… thanks for sharing with us.
Hame kab mileGi payment bhagwan jane
Aap Blogging Continue Karte raho. Aapko jurur Success milegi.
very nice post aap ne kafi mehnat ki hai
Thanks parveen Ji
Jankar accha laga ki aap apne blog se income kar rahe hain. Mai bhe blogging me naya hu aur shayad agle mahine tak mai apni pahli income receive kar lunga.
Thanks for motivation
आपका आर्टिकल पढ़ कर अच्छा लगा में एक hindi ब्लॉगर हु और रीडर को hindi कंटेंट provide करने की वजह से में adsense में ज्यादा नहीं कमा पाता हूँ लेकिन अपने काम से खुश हूँ. आज मैंने पहली income प्राप्त की है जो की 16 महीने की है. पैसा मायने नहीं रखता रीडर को पकडे रहो पैसा आने लगेगा.
थैंक्स फॉर शेयरिंग this
Congratulation Bro Keep visiting
Bhai meri jokes or status ki website hai AdSense bhi aproove hai do Mahine ho gye bus ek dollar h kaise increase kru
Bro jokes and status par aapko bahut hi kam CPC milti hai.So aap kisi aur high cpc ki topic par bhi post kare.
very nice post aur bhi income related post kre
Motivated
Thanks pipan
Hey, nice blog loved your content. Main bhi Assam, Guwahati se hu. Founder of Desitechblog. Aapki earning 1 month ki hai ya????
Hi Rahul das aapne syad is post ko achi tarha read nahi kiya hai. Ye meri blog ki first earning hai.
Cool… Accha Hai….schema Theme Ke bareme aur bataye Thoda, Kya Ye purchase karni chahiye Iska nam Bahut suna..hai..Mujhe Blogging Ke bareme Kuch Nhi ata…
kya Online Articles Ya Books Read Karke Sikha ja skta hai.
kuch Kuch blog wale aise hote hai bahut dara dete hai jaisa ki Blogger Pahile Use karo.then uske bad WordPress par…
mere vichar se ye time wasting hai ye.
Ji ha aap schema theme ko buy kar sakte ho. Aur aap blogging ke bare me learn karne ke liye aap is site ko regularly read kare. And ispar bataye har ek steps ko properly follow kare. Aur kuch bhi parisani ho to aap muje contact kare. Main aapki puri help karonga Blogging start karne me.
Aur blogger aur WordPress ki baat kare to agar aapko Blogging ke bare me kuch bhi nahi pata to aap blogger par blog banakar pehele blogging ke bare me thodi learn karle. Aur 3-4 month me jab aapko blogging ke bare me thodi knowledge ho jaye tab aap apne blog ko WordPress par shift kare.
Congratulation bro
Thanks Pinku Kumar
Badhai ho nirmal same with me kunki main bhi pahadi hun or mere sath nhi tmhri tarah hi problems thi pr kahte hain na….
Junun or mehnat ke aage har mushkil chhoti pad jaati hai….congratulation nirmal bro..
Thanks Kailash ji
Congratulations आप की first income के लिये…….. वैसे भी यह आप के परिश्रम का फल है।
क्यों की 2 से 3 km तक cafe में जा कर वर्क करना कोई छोटी मोटी बात नहीं है ।
इश्वर आप को बहुत आगे ले कर जाये…….
Than You Mangal Gupta ji
Nice article
Thanks wikihindi
bahut hi achhey tarike se aapne likha Nirmal ji..
Thank you sir
Hello bhai maine v ak website hindisupport.com create kiya hai kya app mujha bta sakta he ki iski SEO increase karna ka liya mujha kya karna hoga.
Bro Aap Myhindinotes ke SEO related article padhe