• Skip to content
  • Skip to primary sidebar

My Hindi Notes

Complete Hindi Blogging Guide!

  • BLOGGER
  • BLOGGING
  • WORDPRESS
  • SEO
  • EARN MONEY
You are here: Home / SEO / Suddenly Blog Ki Traffic Low Hone Ki Reason & Uski Solutions

Suddenly Blog Ki Traffic Low Hone Ki Reason & Uski Solutions

On:22nd Mar, 2018 | By: Nirmal Ghimire Leave a Comment

Ham hamesha apni blog ki traffic badhane ne bare me sochte hai. Aur uske liye ham bahut kuch karte bhi hai. But kabhi kabhi kuch acha karne ke chakar me ham apni blog par kuch gatiya karte hai. Jisse blog ki visitors kam ho jate hai.

Manlo aapki blog par recently 1000 visitors hai. But agar suddenly aapki traffic 500 ho jaye to aapko kaisa lagega? Aap jarur hi parisan ho jayenge. Aur sochenge ki kaise itne visitors kam ho sakte hai?

But ye koi badi baat nahi hai. Because search engines ke search karne ke tarike har din change hote hai. So kisi bhi reason aapki blog ki traffic kam ho sakti hai.

So agar aapke sath aisa howa hai ki suddenly hi aapki blog ki visitors low ho gayi hai to aap is post ko dhyan se read kare. Because is post par main aapko achanak blog ki traffic decrease hone ki kuch karan bataonga.

Jisse aap achi taraha samaj sakenge ki aisa kyu hota hai. Maine aapko pichli post par blog ki traffic na badhne ke kuch reasons ke bare me bataya tha. Agar aapne is post ko read nahi kiya to aap ise jarur read kare. And is post par ham shirf blog par suddenly traffic low hone ki reasons ke bare me janenge.

  • 2018 Me Blog Ki Traffic Kaise Badhaye – 12 New Tips

Table of Contents

  • Blog Ki Traffic Kam Hone Ki Reasons
  • #1) Penalty
  • #2) Panda Penalty
  • #3) Site Design
  • #4) Domain Name Change
  • #5) Loading Speed
  • #6) Post Updates
  • #7) Blog Hacked

Blog Ki Traffic Kam Hone Ki Reasons

Woise to blog par visitors bahut se karan me kam ho sakti hai. But main aapko kuch aise main reason bataoga jiski karan aapki blog ki traffic kam ho sakti hai.

#1) Penalty

Ji ha agar aapki blog ko Google se penalty milla hai to aapki blog ki traffic suddenly kam ho sakti hai. Aur agar aap apne blog par google ke rules follow nahi karenge to google aapki site ko penalized kar sakta hai.

Jise manlo aapne apni site par bahut se unrelated chize add ki hai, ya fir aapki site par organic traffic bilkul hi na ho to google aapki site ko block kar sakta hai. Ya fir aapki post ko indexing se block karta hai.

Agar blog par achanak hi traffic kam ho to aapko sabse pehele apni Google Webmaster Tool par check karna chaiye ki kabhi aapki site ko search engine se penalty to nahi mili.

Ise check karne ke liye aap apni Google Webmaster tool par login kare. Fir, search traffic >> Manual Action par check kare. Agar aapko iha par koi message dikayi de to ho sakta hi ki google ne aapki site ko temporarily or permanently penalized kiya ho.

  • Content ko promotion Karke Blog Ki Traffic Kaise Badhaye

#2) Panda Penalty

Google ne bad, Spam, low quality content wale site ko close karne ke liye panda ko launched kiya tha. Jo kisi bhi blog par agar low quality content ya duplicate content rahenge to unhe penalized karta hai.

So agar aapke blog ki traffic suddenly kam ho gayi hai to ho sakta hai ki aapki blog ko panda ne penalized kar diya ho. So aapki blog par duplicate content hai ya nahi check karne ke liye aap Copyscape Tools ki help le aur agar jyada duplicate or spam content ho to aap unhe remove karde.

  • Social Media Sites Se Blog Ki traffic Badhane Ke Kuch Assan Tarike

#3) Site Design

Website par visitors kam hone ki ye bhi ek karan ho sakti hai ki aapne apni blog ki design change kiya hai. Jisse visitors ko aapki blog ko samajne me parisani hogi.

Traffic aapki blog par to aayenge. But unne samaj nahi aayega ki aapki blog par kya hai. So wo aapke blog se chale jayenge. Jisse aapki site ki bou

nce rate kharab hoti hai. Aur aapki blog ki traffic bhi achanak kam hoti hai.

So blog ki design hamesha hi simple rakhe. Aur again and again apni blog ki design aur theme change mat kare.

  • Blog Ko Social Media Par Kaise Promote Kare

#4) Domain Name Change

Domain name change karne se bhi aapki blog ki traffic kam ho sakti hai. Because aapki blog ki agar url change hogi to aapke jo direct visitors hai. Unhe to aap apni new domain par redirect kar sakte hai.

But jo aapke organic visitors hote hai. Wo kam ho jayenge. Aur aapki blog ki jo bhi Backlinks honge wo shabhi bhi work nahi karenge. Jisse aapki blog ki domain Authority bhi kam ho jati hai.

So kabhi bhi blog ki domain name change mat kare. Aur agar karna bhi padhe to blog banane ke within 6 month baad hi change kare. Aur agar aapki blog use bhi old ho gaya hai to aap use change mat kare. Otherwise aapki blog ki traffic decrease ho jayegi.

  • Blog Ki Traffic Badhane Ki 38 Popular Ways

#5) Loading Speed

Blog ki loading speed fast hona chaiye nahi to aapki website ki visitors kam hone me jyada time nahi lagega. Because slow loading wale blog ko na visitors like karte hai aur na hi Google.

So kabhi bhi agar aapki blog ki loading speed bahut hi slow ho jati hai to aise me aapki blog ke visitors high hone ki bajaha low ho jati hai. Kuy ki kisi bhi person ko wait karna acha nahi lagta.

Isliye blog ki loading speed Gtmetrix par check karte rahe aur apni blog ki loading speed fast banaye.

Maine kuch aise tricks ko use karke bina koi paid plugin use karke apni blog ki loading speed 1.8 sec banayi hai. Jiske bare me aap Blog ki loading speed fast kaise banaye is post ko read kare.

#6) Post Updates

Post ko update karna to bahut hi achi baat hai. But agar aap galat tarike se post ko update karenge to bhi aapki blog ki traffic decrease ho jati hai.

Maine abhi recently apne ek popular post ko update kiya tha. Jisme mere per day 200 visitors aate the. Lekin maine jab post ko update kiya to uspar galti se kuch new or unrelated links uspar add kar diya. Jisse next day se meri post search engine par show hi nahi ho rahi thi. Aur mere blog ke visitors bhi suddenly kam ho gaye.

Fir maine search results par 100 number tak check kiya par muje mera post nahi dikhai diya. Fir maine apni post ko check kiya to maine dekha ki uss post par apni kuch new post ki link add ki hai. Aur sath hi 1 unrelated link bhi add ki thi. To fir night me maine usse phir se thik kiya or usse unn links ko bhi remove kiya to uske next day wo post phir se apni peheli position par thi. Aur muje fir se 200+ visitors bhi mille.

Yani agar aap post ko update karte waqt bhi achi taraha check karne ke baad hi use update kare. Aur agar kuch jyada hi work ho to aap uss post ko Draft me rakh le aur use badiya se optimize karne ke baad hi update kare.

  • Blog Par Organic Visitors Kaise Badhye

#7) Blog Hacked

WordPress blog har din bahut se hacked hote hai. Agar koi aapki blog ko hack karega to bhi wo aapki site ki content ko chori karne ke sath aapki site ki identity bhi hacked kar sakte hai. Aur agar aisa kisine kiya to aap apni blog par traffic kam dikhne lagegi.

Ya aapne jo hosting purchase ki hai apni blog ke liye, uski bajaha se bhi aapki blog par achanak se visitors kam ho sakta hai. Aur ye tabhi hoga jab aapki hosting achi nahi hogi. Ya aapki hosting Jyadatar server down ki problem hone se bhi aapki site ko spam samajkar block kar sakta hai.

So hosting purchase karne se pehele aapko bahut si baton par dhyan dena hoga. Aur jiske bare me maine is site ki Hosting categories par details me bataya bhi hai. And agar aapko hosting related puri jankari chaiye to aap is category ko check kare.

  • Facebook Se Blog Ki Traffic Kaise Badhaye

To finally ye thi Achanak blog par visitors kam hone ke kuch main reasons. Ab aap muje batana mat bhule ki ye jankari aapko kaisi lagi ? Ya agar koi questions ho is post ke related to comments box par bataye.

2 Shares
Share
Tweet
Pin
Share
+1

Filed Under: SEO

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Hey, I’m Nirmal!

The founder of myhindinotes.com. A passionate blogger and internet enthusiast from Assam, India.

Read More

blog-banane-ka-free-step-by-step-hindi-guide

Popular Post

  1. Online Internet Se Paise Kaise Kamaye
  2. Blog Kaise Banaye – Step By Step Guide For Beginners
  3. Hindi Blog Ki Traffic Kaise Badhaye – 12 Actionable Tips
  4. Blog Se Paise Kaise Kamaye
  5. Top 10 Indian Bloggers Aur Unke Earnings (Ranked) 2018
  6. Top Hindi Blogs Site List 20+

ABOUT | SITEMAP l DISCLAIMER | PRIVACY POLICY

Copyright © 2019 · MY HINDI NOTES